WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

CORRECTIONOFMUSLIM - Topics
Create Your Own App Store

* CORRECTIONOFMUSLIM > Topics


Subject: Iqbal ka pakistan
Replies: 10 Views: 1124

zobaria 2.12.09 - 07:10am
have anyone seen this program?do u like it? *

laiba1 5.12.09 - 04:23pm
no.. magr kya tha is programe ma? *

zobaria 7.12.09 - 06:00am
it is based on ideology of pakistan.or alama iqbal k nazariye ko bhi bohat achay tareeqe se bayan kiya jata hai for youth. *

laiba1 8.12.09 - 09:13am
ok. . but iska faiyda? beyan krna or amal krna ma bohat farq ha.... iqbal ke nazriat or mohd ali jinnha ke farmodat 50 sal se to sun rahi ha ye qoam but is pe amal bhi kiya jaye to bat ha... *

zobaria 8.12.09 - 12:29pm
i agree.but yar sun he lein ye bari baat hai.aaj kal tou koi sunta b nahi.
*

zobaria 8.12.09 - 12:30pm
but i like the show.iqbal is my favrt poit. *

zakkhan 31.12.09 - 05:05am
Masjid toh bana di shab bhar mein emaam ki hararat walun ne. . . Mun apna purana papi hai,bars0o'n mein namazi ban na saka. . . . Kya khub ameer,e,faysal ko san0osi ne paigham diya. . . Tou naam,o,nasab ka hijazi hai,par dil ka hijazi ban na saka. . . Tar ankhein toh ho jatien hein''par kya lazzat is r0one mein. . . Jab kh0on,e,jigar ki aamaizash se aashak payazi bun na saka. . . Iqbal bada apideeshak hai,mun bat0o mein m0o'h laita hai. . . Guftar ka ye ghazi to bana
*

zakkhan 31.12.09 - 05:05am
khol ankh falak dekh fiza dekh..
Mashriq ke ubarte huve suraj ko zara dekh *

zakkhan 31.12.09 - 05:07am
SIR ALLAMA IQBAL (R.A)
KI BAAT HO AUR UNKE DO NAZAM SHIKWA AUR JAWAB E SHIKWA NA LIKHA JAYE TO YEH NA INSAAFI HO GI UNKE IS GROUP KE SATH
*

zakkhan 31.12.09 - 05:07am
Shikwa


Kyon Ziaan kaar banun, sood framosh rahoon?
Fikr-e-farda na karum, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon,
Naale bulbul ke sunoon, aurhama tan gosh rahoon,
Hamnawa main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon?
Jurrat aamoz miri taab-e-sakhun hai mujhko,
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko.
_______________
Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le,
Khu gar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le.
Thi tau maujood azal se hi tiri zaat-e-qadim,
Phool tha zeb-e-chaman, par na pareshan thi shamim;
Shart insaaf hai, ai, sahib-e-altaf-e-amim,
Boo-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim?
_______________
Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzir,
Kahin masjood the pather, kahin maabood shajar,
Khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar,
Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar?
Tujhko maalum hai leta tha koi naam tira?
Quwwat-e-baazoo-e-Muslim ne kiya Kaam tira!
_______________
Bas rahe the yahin salijuq bhi, toorani bhi,
Ahl-e-chin cheen mein, Iran mein sasaani bhi,
Isi maamoore mein aabad the Yunaani bhi,
Isi duniya mein Yahudi bhi the, Nusraani bhi,
Par tire naam pe talwar uthai kis ne,
Baat jo bigri huri thi who banaai kis ne?
_______________
The hameen ek tire maarka aaraaon mein!
Khushkion mein kabhi larte, kabhi dariyaon mein,
Di azaanen kabhi Europe ke kaleesaaon mein,
Kabhi Africa ke tapte hue sahraaon mein.
Thi na kuchh teg zani apni hakumat ke lieye,
Sar ba-kaf phirte the kya dahar mein daulat ke lieye?
_______________
Qaum apni jo zar-o-maal-e-jahan par marti,
But faroshi ke iwaz but shikni kyon karti?
Naqsh tauheed ka har dil pe bithaya hum ne,
Zer-e-khanjar bhi yeh paigham sunaya hum ne.
Tu hi kah de ke ukhara dar-e-Khyber kis ne,
Shaher qaiser ka jo tha us ko kiya sar kis ne?
_______________
Tore makhluq khudawandon ke paikar kis ne?
Kaat kar rakh diye kaffaar ke lashkar kis ne?
Aa gaya ain laraai mein agar waqt-e-namaz,
Qibla roo ho ke zamin bos hui qaum-e-Hejaz,
Ek hi saf mein khare ho gaye mahmud-o-Ayaz,
No koi banda raha aur no koi banda nawaz.
_______________
Banda-o-sahib-o-muhtaaj-o-ghani ek hue,
Teri sarkar mein pahunche tau sabhi ek hue.
Mehfil-e-kaun-o-makaan mein shar-o-shaam phire,
Mai-e-tauheed ko lekar sift-e-jam phire.
Dasht tau dasht hain, darya bhi na ch hum ne,
Bahr-e-zulmaat mein daura diye g hum ne.
_______________
Safah-e-dahar se baatil ko mitaya hum ne,
Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya hum ne,
Tere kaabe ko jabeenon se basaya hum ne,
Tere Quraan ko seenon se lagaya hum ne.
Phir bhi hum se yeh gila hai, ke wafadar nahin,
Hum wafadar nahin, tu bhi tau dildar nahin!
_______________
Rahmaten hain tiri aghiyar ke kashaanon par,
Barq girti hai tau bechare Musalmaanon par!
Yeh shikait nahin, hain un ke khazane maamur,
Nehin mehfil mein jinhen baat bhi karne ka shaoor,
Qahar tau yeh hai ke kafir ko milen hoor-o-qasoor,
Aur bechaare Musalmaan ko faqt waada-e-hoor!
_______________
Taan-e-aghiyaar hai, ruswai hai, nadaari hai,
Kya tere nam pe marne ka iwaz khwari hai?
Hum tau jeete hain ke duniya mein tira naam rahe,
Kahin mumkin hai saqi na rahe, jaam rahe?
Teri mehfil bhi gai, chahne walw bhi gaye,
Shab ki aahen bhi gaien, subah ke nale bhi gaye,
_______________
Dil tujhe debhi gaye, apna sila le bhi gaye,
Aa ke baithe bhi na the, ke nikaale bhi gaye.
Aae ushaaq, gaye waada-e-farda lekar,
Ab unhen dhoond chirag-e-rukh-e-zeba lekar!
Dard-e-Laila bhi wohi, Qais ka pahlu bhi wohi,
Nejd ke dasht-o-jabal mein ram-e-aahoo bhi wohi,
_______________
Ishq ka dil bhi wohi, husn ka jaadoo bhi wohi,
Ummat-e-Ahmed-e-Mursil bhi wohi, tu bhi wohi,
Phir yeh aazurdagi-e-ghair-sabab kya maani,
Apne shaidaaon pe yeh chashm-e-ghazab kya maani?
Ishq ki khair, who pehli si ada bhi na sahi,
Jaada paimaai taslim-o-raza bhi na sahi,
_______________
Kabhi hum se, kabhi ghairon se shanasaai hai,
Baat kahne ki nahin, tu bhi tau harjaai hai.
Ahd-e-gul khatam hua, tut gaya saaz-e-chaman,
Ur gaye dalion se zamzama pardaaz-e-chaman.
Ek bulbul hai ke hai mahw-e-tarannum ab tak,
Us ke seene mein hai naghmon ka talatam ab tak.
_______________
Qumrian shaakh-e-sanober se gurezaan bhi huin,
Pattian phool ki jhar jhar ke pareshan bhi huin;
Who purani ravishen bagh ki weeran bhi huin,
Daalian parahan-e-barg se uriaan bhi huin.
Qaid-e-mausim se tabiat rahi aazad uski,
Kaash gulshan mein samjhta koi faryaad uski.
_______________
Chaak is bulbul-e-tanha ki nawa se dil hon,
Jaagne wale isi baang-e-dara se dil hon.
Yaani phir zinda naye ahd-e-wafa se dil hon,
Phir isi bada-e-deereena ke pyaase dil hon.
Ajmy khum hai tau kya, mai tau Hejaazi hai miri,
Naghma Hindi hai tau tya, lai tau Hejaazi hai miri.


*

zakkhan 31.12.09 - 05:08am
Jawab-e-Shikwa
--------------
Dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti hai,
Par nahin, taaqat-e-parwaaz magsr rakhti hai.
Qudsi-ul-asal hai, rif-atpe nazar rakhti hai,
Khaak se uthti hai, gardoon pe guzar rakhti hai.
Ishq tha fitna gar-o-sarkash-o-chalaak mira,
Aasman cheer gaya nala-e-bebaak mira.
_______________
Pir-e-gardoon ne kaha sun ke, kahin hai koi!
Bole sayyaare, sar-e-arsh-e-barin hai koi!
Chaand kahta tha, nahin, ahl-e-zamin hai koi!
Kahkashaan kahti thi, poshida yahin hai koi!
Kuchh jo samjha tau mere shikwe ko Ruzwan samjha,
Mujhe jannat se nikala hua insaan samjha.
_______________
Thi farishton ko bhi hairat, ke yeh aawaaz hai kya!
Arsh waalon pe bhi khulta nahin yeh raaz hai kya!
Taa sar-e-arsh bhi insaan ki tag-o-taaz hai kya?
Aa gai khak ki ki ko bhi parwaaz hai kya?
Ghaafil aadaab se yeh sukkaam-e-zamin kaise hain,
Shokh-o-gustaakh yeh pasti ke makin kaise hain,
_______________
Is qadar shokh ke Allah se bhi barham hai,
Tha jo masjud-e-malaik yeh wohi Aadam hai?
Aalam-e kaif hai, dana-e-ramuz-e-kam hai,
Haan, magar ijaz ke asrar se namahram hai.
Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko,
Baat karne ka saliqa nahin nadaanon ko!
_______________
Aai aawaaz ghum-angez hai afsana tira,
Ashk-e-betaab se labrezhai paimana tira.
Shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne,
Hum sakhun kar diyabandon ko khuda se tu ne.
Hum tau mayal ba-karam hai, koi sayal hi nahin,
Rah dikhlain kise rahraw-e-manzil hi nahin.
_______________
Tarbiat aam tau hai, jauhar-e-qabil hi nahin,
Jis se taamir ho aadam ki yeh who gil hi nahin.
Koi qabil ho tau hum shan-e-kai dete hain;
Dhoondne waalon ko duniya bhi nai dete hain!
Haath be-zor hain, ilhaad se dil khoo-gar hain,
Ummati baais-e-ruswai-e-paighamber hain.
_______________
But-shikan uth gaye, baaqi jo rahe but-gar hain,
Tha Brahim pidar, aur pisar Aazar hain.
Bada aasham naye baaqi naya khum bhi naye,
Harm-e-Kaaba naya, but bhi naye, tum bhi naye.
Who bhi din the ke yehi maya-e-raanai tha,
Naazish-e-mausim-e-gul lala-e-sahraai tha!
_______________
Jo Musalmaan tha Allah ka saudai tha,
Kabhi meh tumhara yehi harjaai tha.
Safah-e-dahar se baatil ko mitaya kis ne?
Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya kis ne?
Mere Kaabe ko jabeenon se basaya kis ne?
Mere Quran ko seenon se lagaya kis ne?
_______________
The tau aaba who tumhaare hi, magar tum kya ho?
Haath par haath dhare muntezir-e-farda ho!
Kya kaha? bahr-e-musalmaan hai faqt waade-e-hur,
Shikwa beja bhi kare koi tau laazim hai shaoor!
Adal hai faatir-e-hasti ka azal se dastur,
Muslim aaeen hua kafir tau mile hur-o-qasur;
_______________
Tum mein hooron ka koichahne wala hi nahin,
Jalwa-e-tur tau maujood hai, Moosa hi nahin.
Munfait ek hai is qaum ki, nuqsaan bhi ek,
Ek hi sab ka nabi, din bhi, imaan bhi ek,
Harm-e-paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek,
Kuchh bari baat thi hote jo musalmaan bhi ek!
_______________
Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain.
Kya zamane mein panpaneki yehi baaten hain?
Jaa ke hote hain masaajid mein saf-aara tau gharib,
Zahmat-e-roza jo karte hain gawara tau gharib.
Naam leta hai agar koi hamara, tau gharib,
Pardah rakhta hao agar koi tumhara, tau gharib.
_______________
Umra nasha-e-daulat mein hain ghafil hum se,
Zinda hai millat-e-baiza ghurba ke dam se.
Shor hai ho gaye duniya se musalmaan naabood,
Hum yeh kahte hain ke the bhi kahin Muslim maujood?
Waza mein tum ho nisari, tau tamuddan mein Hanood,
Yeh musalmaan hain! Jinhen dekh ke sharmain Yahud?
_______________
Baap ka ilm na bete ko agar azbar ho,
Phir pisar qabil-e-miraas-e-pidar kyonkar ho!
Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan aasaani hai,
Tum musalmaan ho? Yeh andaaz-e-musalmaani hai?
Chaahte sab hain ke hon auj-e-surayya pe muqeem,
Pahle waisa koi paida tau kare qalb-e-salim!
_______________
Ahd-e-nau barq hai, aatish zan-e-har khirman hai,
Aiman is se koi sahra no koi gulshan hai.
Is nai aag ka aqwaam-e-kuhan eendhan hai,
Millat-e-khatam-e-rasal shoula ba parahan hai.
Dekh kar range-e-chaman ho na pareshan maali,
Kookab-e-ghuncha se shaakhen hain chamakne wali,
_______________
Khas-o-khashaak se hota hai gulistan khaali,
Gul bar andaaz hai khun-e-shuhda ki laali.
Rang gardoon ka zara dekh tau unnabi hai,
Yeh nikalte hue suraj ki ufaq taabi hai.
Nakhl-e-Islam namoona hai bro-mandi ka,
Phal hai yeh sainkron saalon ki chaman bandi ka.
_______________
Qaafila ho na sakega kabhi weeran tera,
Ghair yak baang-e-dara kuchh nahin samaan tera.
Nakhl-e-shama asti-o-dar should dood resha-e-tu,
Aaqbat soz bood saya-e-andesha-e-tu.
Ki Mohammed se wafa tu ne tau hum tere hain,
Yeh jahan cheez hai kya, lauh-eo-qalam tere hain.

*


* Reply
* CORRECTIONOFMUSLIM Forum


Search:
topics replies


* CORRECTIONOFMUSLIM

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store